Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai
Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon
Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon
Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi
Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Labels: Hindi Ghazals SMS, Hindi Sms
Jo Pal Pal Chalti Rahe Wo Hai Zindagi
Jo Har Pal Jalti Rahe Wo Hai Roshni
Jo Pal Pal Khilti Rahe Wo Hai Mohabbat
Jo Kisi Bhi Pal Sath Na Chore Wo Hai
DOSTI…
Labels: Hindi Friendship SMS, Hindi Sms
Sweet Sa Weather Dhek Kar
Apni Sweet Si Friend Ki
Sweet Si Yad Ayi Tu Socha
K Sweet Sa Sms Kr Doon
Takey Hmari Sweet Si Friendship Mai
Thori Sweetness Aur Barh Jaye…
Labels: Hindi Friendship SMS, Hindi Sms
Ishq Aur Dosti Meri Zindagi Ka Unwan Hai
Ishq Meri Rooh Aur Dosti Mera Eman Hai
Ishq Pe Kardo Fida Mai Apni Sari Zindagi
Magar Dosti Par Mera
Ishq B Qurban Hai…
Labels: Hindi Friendship SMS, Hindi Sms
Na Sathi Hai Koi
Na Hum Safer Hai Koi
Na Ham Kisi K Hein Na Hamara Hai Koi
Per Aap Se Mil Kar Aisa Lagta Hai Ke Dost
Hamara Bhi Hai Koi…
Labels: Hindi Friendship SMS, Hindi Sms