Is sham ki tanhai se,
Dard ki gehrai se,
Ye dil kuchh baat kar raha hai,
Zara samjho in fizaon ki chubhan ko,
Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai
`
Hakikat na puchh mere fasane ki
Tere jate hi badal gayi hai nazar zamane ki
Log puchhte hain main khush nahi
Kya karun meri to aadat thi
Tere sang muskurane ki
`
Pani ka 1 katra aankh se gira abhi,
Kya tumne mujhko yaad kiya abhi,
Tujhse mile zamana hua magar,
yun laga koi mujhse mil k gaya abhi
`
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai,
Waise hi aap pas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai!
`
Aap paas raho ya dur,
Dil se dil ki aawaz mila sakte hain hum.
Na khat ke na telephone ke mohtaz hain,
Sirf ek hichki se aapke dil ko hila sakte hain hum…

0 comments: